Aage bhi jaane na tu, peechhe bhi jaane na tu
jo bhi hai, bas yahi ek pal hai
Aage bhi jaane na tu
Anjaane saayo ka raaho mein dera hai
Andekhi baaho ne ham sabko ghera hai
Ye pal ujaala hai baaqi andhera hai
Ye pal gawaana na ye pal hi tera hai
Jeene waale soch le yahi waqt hai kar le puri aarzoo
Aage bhi ...
Is pal ke jalwo ne mehfil sawaari hai
Is pal ki garmi ne dhadkan ubhaari hai
Is pal ke hone se duniya hamaari hai
Ye pal jo dekho to sadiyo pe bhaari hai
Jeene waale soch le yahi waqt hai kar le purii aarzoo
Aage bhi ...
Is pal ke saaye mein apna thhikaana hai
Is pal ke aage hi har shae fasaana hai
Kal kisne dekha hai kal kisne jaana hai
Is pal se paayega jo tujhko paana hai
Jeene waale soch le yahi waqt hai kar le puri aarzoo
Aage bhi ...
Aage bhi jaane na tu from Wakt
No comments:
Post a Comment